Search This Blog

Friday 2 December 2011

kuch jeet likhu ya haar likhu



Kuch jeet likhu ya haar likhu,
ya Dil ka sara payar likhu,
kuch apno ke jazbat likhu,ya sapno ki saugat likhu,
mai khilta suraj aaj likhu,ya chehra chand likhu,
wo dubte suraj ko dekhu ya ugte phool ki sans likhu,
wo pal me beete saal likhu,ya sadio lambi raat likhu,
mai tumko apne paas likhu,ya duri ka ehsas likhu,
mai andhe ki din me jhaku,ya aankho ki mai raat likhu,
meera ki payal ko sunlu, ya gautam ki muskan likhu,
bachpan me bachho se khelu,ya jn ki dhalti sham likhu,
sagar sa gehra ho jau,ya amber ka vistar likhu,
wo pehli pehli payas likhu,ya nischal pehla payar likhu,
sawan ki barish me bheegu,ya aankho ki mai barsat likhu,
kuch jeet likhu ya haar likhu.........

 

2 comments: