Search This Blog

Tuesday, 24 January 2012

lamha jee lene de


Ae zindagi yeh lamha jee lene de
Oh, pehle se likha kuch bhi nahin
Roz naya kuch likhti hai tu
Jo bhi likha hai, dil se jiya hai
Yeh lamha filhaal jee lene de - 2
Maasoom si hasi, bevaja hi kabhi
Honton pe khil jaati hai
Anjaan si khushi baheti hui kabhi
Saahil pe mil jaati hai
Yeh anjaana sa darr ajnabi hai magar
Khoobsurat hai jee lene de
Yeh lamha filhaal jee lene de - 2
Dil hi mein rehta hai, aankhon mein baheta hai
Kaccha sa ek khwaab hai
Lagta sawaal hai, shaayad jawaab hai
Dil phir bhi betaab hai
Yeh sukun hai to hai, yeh junoon hai to hai
Khoobsurat hai jee lene de
Yeh lamha filhaal jee lene de ...
Oh, pehle se likha kuch bhi nahin
Roz naya kuch, oh likhti hai tu
Jo bhi likha hai, dil se jiya hai
Yeh lamha filhaal jee lene de ...
 

No comments:

Post a Comment